Hum katha sunate ram sakal gundham ki lyrics
Om Shree Maha Ganadhipatye Namah ,Om Shree Uma Maheshwar bhyam Namah,
Valmiki Gurudev Ki Kar Pankaj Sir Nay Sumre Maat Sarswati Hum par hoy Sahay
Maat Pita Ki Vandana karate barmbar Gurujan Raja Prajajan Naman Karo Savikar
Hum Katha Sunate Ram sakal Gundham Ki
Hum Katha Sunate Ram sakal Gundham Ki
Ye Ramayan hain puny Katha Shree Ram Ki
Jambodwipe Bharatkhande Aryawarte Bharatvarte Ek nagri hain vikhyat Ayodhya naam ki
Yahi janam bhumi hain prampujay Shree Ram KI
Hum Katha Sunate Ram sakal Gundham Ki
Ye Ramayan hain puny Katha Shree Ram Ki
Ye Ramayan hain puny Katha Shree Ram Ki
Raghukul ke Raja Dharmatma Chakrwati Dusrath Punyatma
Santti Hetu yagh karway dharmyagh ka subh phal paya
Narp Ghar Janme char Kumara Ragukul Dip Jagat Aadhara
Charo brato ke subh nama Bharat Satrughan Laxman Rama
Guru vaishishth ke Gurukul Jake alpkaal vidhya sab paake
Puran hui Shikha Raghuwar puran kaam ki
Hum Katha Sunate Ram sakal Gundham Ki
Ye Ramayan hain puny Katha Shree Ram Ki
Mruduswar, komal bhavana, rochak prastuti dhang
ek ek kar varnan kare Lav-Kush ,Ram prasang
Vishwamitr mahamuni raayi, inke sang chale do bhai
Kaise Ram Tadka maari ,kaise naath Ahilya taari
Munivar Vishvamitra tab sang le Lakshman Ram
Siya swayamvar dekhne pahunche Mithila dham
Janakpur utsav hai bhaari,Janakpur utsav hai bhaari
Apne var ka chayan karigi Sita sukumari
Janakpur utsav hai bhaari,
Janak raj ka kathin pran suno suno sab koi
jo tode Shiv dhanush ko, so Sita pati hoye
ko tore Shiv dhanush kathor
sab ki drishti Ram ki oar
Ram vinaygun ke avtaar, guruvar ki aagya siroddhar
Sehej bhaav se Shiv dhanu toda Janak Suta sang naata joda
Raghuvar jaisa aur na koi Sita ki samata nahi hoyi
Dou kare parajit Kaanti koti Rati Kaam ki
Hum Katha Sunate Ram sakal Gundham Ki
Ye Ramayan hain puny Katha Shree Ram Ki
Sab par shabd mohini daali mantramugdha bhaaye sab nar naari,
yun din rain jaat hai beete Luv Kush ne sab ke mann jeete
Van gaman, Sita haran, Hanumat milan, Lanka dehen, Ravan maran Ayodhya punaraagaman
savistar Katha sunaayi Raja Ram bhaye Raghuraai
Ram Rajy aayo sukh daayi, sukh samriddhi Shri ghar ghar aayi
Kaal chakra ne ghatna kram me aisa chakr chalaya,
Ram Siya ke jeevan mein fir Ghor andhera chaaya
Avadh mein aisa aisa ek din aaya nishkalank Sita pe praja ne mithya dosh lagaya
Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Chladi Siya jab todke sab neh naate moh ke
pashan hridayon mein na angaare jage vidhroha ke
Mamtamayi maaonke aanchal bhi simat kar reh gaye
Gurudev gyan aur neeti ke sagar bhi ghat kar rehgaye
Na Raghukul na raghukul nayak, koi na hua Sia ka sahayak
Maanavta ko kho baithe jab sabhy nagar ke vaasi
Tab Sita ko hua sahayak van ka ek Sanyaasi
Un Rishi param udaar ka Valmiki shubh naam
Sita ko aashray diya, le aaye nij dham
Raghukul me kuldeep jalaye Ram ke do sut Siy ne Jaye
Shrotagan, jo ek raja ki putri hai, ek raja ki putrvadhu hai aur ek chakravati samrat ki patni hai,
wohi maharani Sita, vanvaas ke dukho mein apne dino kaise kaat ti hai
apne kul ke gaurav aur swabhimaan ki raksha karte huye kisi se sahayta maange bina kaise apna kaam woh swayam karti hai
swayam van se lakdi kaant ti hai, swayam apna dhaan kootti hai swayam apni chakki peesti hai
aur apni santaanonko swavalambi banane ki shiksha kaise deti hai ab uski karun jhaani dekhiye.
Janak dulari kulavadhu dasharath ji ki raj rani ho ke din van mein bitati hai
Rehti thi gheri jise das dasi aatho yom ,daasi bani apni udaasi ko chupati hai
Dharam praveena sati param kulina sab vidhi dosh-hina jina dukh mein sikhati hai
Jagmata Hari priya Lakshmi swarupa Siya kootti hai dhaan, bhoj swayam banati hai
Kathin kulhadi leke lakdiya kaantti hai , Karam likhe ko par kaant nahi paati hai…
phool bhi uthana bhaari jis sukumari ko tha dukh bhari jeevan ka Bhojh wo uthathi hai
Ardhangi Raghuveer ki woh dhari dheer, bharti hai neer, neer nayan mein ne lati hai
jiske prajake apvaadon kuchakra mein peesti hai chaaki ,swabhiman bachati hai
Paalti hai bachchonko woh Karmayogini ke bhaati, swavalambi safal banati hai
aisi Sita mata ki pariksh lete dukh dete nithur niyati ko daya bhi nahi aati hai
O us Dukhiya ke Raj dulaare Hum hi Sut Shri Ram tihaare
O Sita maa ki aankh ki taare Lav-Kush hai Pitu naam hamare
he pitu bhagy hamare jaage , Ram katha kahe Ram ke aage
Hum katha sunate ram lyrics